Tuesday, July 20, 2010

Bohat be-rabt batain hain,
Ajab shikway shikayat hain,
Na waqt sanjha hai,
NA qurbat ki talab ab hai,
Zindagi sab ki uljhi hai,
Kiun phir sirf hum ne socha hai,
Han wazan to khud he uthana hai,
So na naraz tum se hain,
Na he khud se roothay hain,
Pr kia karain bhai,
Zindagi ka waqt thora hai,
Hum isse darte hain,
Hum isse harain hain!!!
So ab se jahan b raho tum,
Jeete raho or khush raho tum,
Ab yehi soocha hai…

Saturday, February 6, 2010

Loving the sky,
On a trip to joy,
Needs to lie,
Each day I try to,
Live and fly,
Yell and enjoy up above the sky!

Thursday, January 28, 2010

I lost the fear,
of losing you again,
As once was enough for me,
Of what I had,
I no longer wish to see your face,
Neither I crave for your presence,
I am brave and I can go along,
Its just something with my eyes,
They water ever since,
I pass the pathways once we shared,
Its just they have something,
That made tears from my eyes roll away..

Saturday, January 16, 2010

 

Mujhe tu apni he khabr naheen ab,
So kia tum se poochon main,
Naheen andaza ab waqt ka aur,
Thakan bas humsafar si hai,
Naheen koi majbori,
Nah he ab zaroorat hai,
Safar mushkil tu hai likin,
Umeed e sehr sath leli hai,
Ab koi naheen hai saath,
Na humdard na he humraz,
Faqt main tanha hon,
Jhurmat main seyahi k,
Na jane subhu kab hogi,
Naya koi chand nikle ga,
Har ik raat akhri hai,
Umeedon ki siskiyan aur main,
Chandni sar par sai’ban ban k chahyi hai,
Abhi to mukmal zaat hai likin,
Jab tum tanha ho jao ge,
Or hum yad ayenge,
Tu ansoon ka rela bahar ayega,
Ussay tab rok lena tum,
suna hai jo bhi jata hai,
wapis phir naheen ata,
Mera jana zarori hai,
Tumhara rukna naheen mumkin!

Monday, December 14, 2009

0367

Tmhain kis ne kaha hai ye,
K main bhool payi hon,
Ghalat fehmi hai tumhari bas.
Na koi naya rasta talasha hai,
Na koi simt teh ki hai,
Ik jag hasai pe bas ankhain bheegi hain,
Meray dil ko yad hai tum ne,
Jis lamhay tora tha, laho ka ghusl dia tha,
Han bas us din he roi thi,
Par kahan jante ho k phir main kab soi hun,
Tamsha ban gayi thi main,
Bari thi hoi jag hasai bhi,
Main ik bar phir se lauti thi,
Umeed e wafa lekar teray shehr ayi thi,
Par wahan pohnchi to khabr ye suni main ne,
Tmaharay shehr walay,
Kisi or to tum se mansoob hain kar bethay,
Na phir junbish hoi ghanton,
Na main sans le payi,
Akaili main bhara majma’n,
Kharaba dil gaya lamha,
Na phir laut payi main na ruk kabhi payi,
Jo rasta teh kia mil kar,
Ussi pe hum bechar aye,
Wo rukhsat akhri thi apni,
Teray shehr main na phir kabhi aye!!

Saturday, December 12, 2009

 

I always wanted to be sure,
Of everything I had and everything I do,
I each time put a step forward,
I did it with passion and so much effort,
With certainty to win and no hopes to lose,
But then one day,
I felt as if my feet’s are somewhere down,
Deeper then I could imagine,
Heavy and fatigue,
I tried hard with all my strength,
But nothing helped,
And then I remember the God of mine,
HE who created me once,
With a certainty of nothing but my return,
I felt the path was easy,
Though my feet still pained,
But a wave then came,
I took away the sand and my hostage feet,
They were set free,
Nothing changed,
The sea still was calm and waves were same,
But I was different,
The belief was born-again…

Thursday, December 10, 2009


Mujhe abhi bhi dard hota hai,
Par main aj bhi isko zahir yun naheen karti,
K itnay baray jahan main sunaon kisko bhala apni,
Yahan to hal wo hai k,
Guzar jain jo chand log to afsos bhi bhari hai,
Koi mar jaye to ab giran na dil pe guzarta hai,
Na zara afsurdgi ch'hati hai,
Jahan zinda rehnay walon ko saza jeenay ki milti hai,
Or marne walon ko ,
Bhala unka kia tazkira karon main,
K wo begunah lashain kafan ko he tarasti hain,
Lahoo main doobi hoi lashain,
Wo piyaron ki ah’hain or sadain,
Main jab yeh sab sunti hon,
To ansoo poonch kar apne,
farsh se kuch bulndi par asman se zara agay,
Ik nighah e dard k hathon,
Pegham e ilteja rakh kar hawaon k naam karti hon,
K dukh unke baray honge jinke apne gaye honge,
MALIK! to unko sabr ab dena,
Or hosla bakhsh kar hisar apna zara karna,
K wo ashk ankhon main samaye,
Teri imdad k muntazir honge,
Mera kia hai?
Main aglee bar apni phir hajat minmina dongi,
Abhi unki sun le to jinhon ne lashain uthayi hain,
Lahoo main dobay piyaro'n ki qabrain banayi hain,
Aye Allah ab rehm ho in par,
Dukhon k ye satye hain…



- illusiOn~


I was depressed like every other time in start the theme was different but as I wrote it eventually turned to a different destination..

;;